fasurda hai ilm harf-ha-e-kitab bhi bujh ke rah gae hain hai rakh hi rakh madrason mein nisab bhi bujh ke rah gae hain dilon mein shoale sisak rahe hain jami hui barf hai labon par sawal bhi bujh ke rah gae hain jawab bhi bujh ke rah gae hain nahin hai mahfil mein koi garmi hue hain dil sard mutribon ke dhuan nikalta hai ungliyon se raubab bhi bujh ke rah gae hain charagh-e-saghar se lau laga kar na paya kuchh bhi fasurdagi ne ki gham to ye hai ki shoala-ha-e-sharab bhi bujh ke rah gae hain giraft-e-tufan mein aa gaya hai khayal ka shoala-posh daman rahe haqiqat hi jin se raushan wo khwab bhi bujh ke rah gae hain bujha bujha sa hai qalb-e-sahra bujhi bujhi si hai reg-e-taban fareb khaegi tishnagi kya sarab bhi bujh ke rah gae hain hai munfail zauq-e-shoala-chini araq araq hai jabin-e-khirman kahan se aaenge barq-pare sahab bhi bujh ke rah gae hain