ye teri yaad hai tera khayal hai kya hai andheri raat hai phir bhi bahut ujala hai wafa fareb hai 'ejaz' ishq dhoka hai bina gharaz ke yahan kaun kis se milta hai ghamon ne chehra kuchh itna bigad rakkha hai ki aaina ho muqabil to khauf aata hai badan hai shakh ki manind gul sa chehra hai hamari jagti aankhon ne kis ko dekha hai gharaz-parast mohabbat ki baat karne lage na jaane aaj ka suraj kidhar se nikla hai kabhi sitam bhi tera pur-kashish nazar aaya kabhi karam bhi tera nagawar guzra hai kitab-e-dil pe zara ghaur se nazar dalo waraq waraq pe tumhaara hi nam likkha hai ye kis ki lash padi hai sadak pe la-waris ye kis ka nam likha hai ye kis ka basta hai hai nok-e-neza pe bhi fath ki ada 'ejaz' hamara sar abhi qatil ke sar se uncha hai