faza-e-shahr ki nabz-e-KHiram baiTh gai

faza-e-shahr ki nabz-e-khiram baith gai
fasil-e-shab pe diya le ke sham baith gai

wo dhul jis ko hataya tha apne chehre se
wo aainon pe pae intiqam baith gai

guzarne wala hai kya raushni ka shahzada
jo baal khol ke raste mein sham baith gai

sitam ki dhup mein aisa wo ek shajar to hai
ki jis ke sae mein duniya tamam baith gai

main kis nasheb mein tera lahu talash karun
tamam dasht pe khak-e-khiyam baith gai

bahut tawil safar ka tha azm ai 'kazim'
hayat chal ke magar chand gam baith gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close