be-sabab hi koi patthar to na aaya hoga aaina aap ne auron ko dikhaya hoga wo diwana jo mohabbat se shanasa hoga us ne is rah mein kya kuchh na lutaya hoga dasht pahle ki tarah aaj bhi pyasa hoga abr barsa bhi to dariyaon pe barsa hoga qahqaha bar tha jo shakhs bhari mahfil mein aa ke tanhai mein kuchh soch ke roya hoga haal gulshan ka asiran-e-qafas kya jaanen ai saba tu hi bata tu ne to dekha hoga kaun is dhup mein kamre se nikalta 'anwar' jis ko chalna tha kadi dhup mein chalta hoga