faza ka rang nikharta dikhai deta hai hai shab tamam ki sapna dikhai deta hai lahu ka rang hai mit kar bhi rang laega ufuq ka rang sunahra dikhai deta hai wo jis ne dhup ke mele ko chhat muhayya ki sadak pe us ka basera dikhai deta hai main kaun hun ki hai sab kanch ka wajud mera mera libas bhi maila dikhai deta hai sarab lab pe sajae har ek phirta hai mujhe to shahr bhi sahra dikhai deta hai tane ko chhod ke patton ko thamne walo tumhein shajar bhi tamasha dikhai deta hai abhi se kashtiyan sahil pe le chale logo abhi se tum ko kinara dikhai deta hai wo saunp jata hai mujh ko hawa ke hathon mein usi ka mujh ko sahaara dikhai deta hai