faza ki phir aasman bhar thi khushi safar ki udan bhar thi wo kya badan bhar khafa tha mujh se ki aankh bhi chup guman bhar thi ufuq ki phir ho gaya munawwar lakir si ek ki dhyan bhar thi wo mauj kya tut kar giri hai to kya ye bas imtihan bhar thi wo ek fasana zaban bhar tha ye ek samaat ki kan bhar thi sabab ki ab tak wo puchhta hai meri udasi ki aan bhar thi khula samundar ki chand bhar tha hawa ki shab baadban bhar thi hamin ne mismar kar dikhai wo ek rukawat chatan bhar thi shafaq bani aasman mein ja kar jo khun ki bund ek nishan bhar thi na laut paya wo jaanta tha ki wapsi darmiyan bhar thi kisi ghazal mein na aai 'bani' wo ek aziyyat ki jaan bhar thi