yahan har shakhs har pal hadsa hone se darta hai khilauna hai jo mitti ka fana hone se darta hai mere dil ke kisi kone mein ek masum sa bachcha badon ki dekh kar duniya bada hone se darta hai na bas mein zindagi us ke na qabu maut par us ka magar insan phir bhi kab khuda hone se darta hai ajab ye zindagi ki qaid hai duniya ka har insan rihai mangta hai aur riha hone se darta hai