faza mein zulf ke jadu agar bikhar jate hawa ke sath bahut log dar-ba-dar jate bhala hua ki hui jins-e-gham ki arzani hum apne dagh dikhane nagar nagar jate na jalta koi charagh-e-sada to sab sar-e-sham lipat ke apne gharon ke sutun se mar jate ek aisa lamha-e-sham-e-khizan bhi guzra hai mujhe jo dekhte is lamha tum to dar jate hamein na rok rawan hain misal-e-para-e-abr hamare bas mein jo hota to hum thahar jate 'musawwir' aa ke na thahra koi bhi khwabon mein udas raaton ki aankhon mein rang bhar jate