zakhmon ka ek silsila achchha nahin laga jarrah ko ye tajraba achchha nahin laga us ne kiya salam to achchha laga magar bas ye ki munh ka zawiya achchha nahin laga mere junun ko wasl ki qurbat nigal gai furqat se itna fasla achchha nahin laga tum ne jo matn pesh kiya mustanad to tha lekin tumhaara hashiya achchha nahin laga aaina-gar ke hath mein patthar hain kis liye shayad unhen bhi aaina achchha nahin laga dasht-e-junun se aa gae shahr-e-khirad mein hum dil ko magar ye saneha achchha nahin laga 'khalid' suna jo ruh ka naghma to phir kabhi bulbul ko koi zamzama achchha nahin laga