faza tark-e-talluq ki badal jae to achchha hai jo sine mein hai wo patthar pighal jae to achchha hai mohabbat ki halawat ho takallum ki sadaqat ho zaban se baat kuchh aisi nikal jae to achchha hai khuda se be-niyazi is qadar achchhi nahin hoti abhi bhi waqt hai insan sanbhal jae to achchha hai kisi bhi tarah pure hon hamare dil ke sab arman hamare dil se ye arman nikal jae to achchha hai wo jis ke nur se sara jahan raushan tha ai 'jazib' wo haq ki shama phir ek bar jal jae to achchha hai