fazaon se guzarta ja raha hun khalaon mein bikharta ja raha hun main registan mein baitha hun lekin samundar mein utarta ja raha hun zamana lamha lamha ji raha hai main lamha lamha marta ja raha hun wo jitne dur hote ja rahe hain main utna hi sanwarta ja raha hun chala hun apne se do hat karne magar khud se bhi darta ja raha hun main nuqta ban ke ek markaz pe yaro na jaane kyun thaharta ja raha hun mitane par bhi main urdu ki manind sanwarta aur nikharta ja raha hun main kali jhil mein duba tha khud hi magar khud hi ubharta ja raha hun main 'qaisar' apni aankhon se tapak kar kisi dil mein utarta ja raha hun