ek be-nam si diwar hai bahar mere

ek be-nam si diwar hai bahar mere
kaun jaane jo naya shahr hai andar mere

fan ke paimane subuk harf ke kuze nazuk
kaise samjhaun ki kuchh dukh hain samundar mere

koi mausam ho meri chhap mera rang apna hai
meri ye waza ki be-waza hain manzar mere

mere hi rukh ka araq jauahr-e-gul-ha-e-hunar
zar-gari kaam mera zakhm muqaddar mere

kaise main panw ki gardish ko ghalat thahraun
ki hai gardish hi ka ehsan lahu par mere

ab ke bhi chashm-e-numu jagi to kya farq pada
wahi surat ki samar auron ke patthar mere

tajraba kar le mere shahr ki sarhad pe ghanim
lauh-e-maidan mera harf hain lashkar mere

aane walon se kaho yun na karen shor buland
kai ghar aur bhi hain ghar ke barabar mere

bol hain ras na sahi lamhe mein narmi na sahi
kuchh to hai baat jo shohre hain ye 'mahshar' mere


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close