fazl mujh par mere khuda ka hai ye karishma kisi dua ka hai imtihan ab meri ana ka hai ye taqaza teri raza ka hai bahr-e-tazim surkh-rui hai faiz ye sab teri ata ka hai baadshahon ko sar-nigun dekha martaba ye tere gada ka hai kaun kis ko wafa-shanas kahe raj har samt ab jafa ka hai mujh ko ruswaiyon ne gher liya sar mein sauda teri wafa ka hai jis se insaniyat hai sharminda ye tariqa hi irtiqa ka hai jis ki tahrir se kiran phuti khat ye 'maqsud' khush-ada ka hai