sahra-naward kitne isi gham mein mar gae gir jaenge nazar se agar laut kar gae wo itne be-khabar hain ki ye bhi khabar nahin hum imtihan-e-ishq mein jaan se guzar gae dekha hai hum ne ye bhi takallum ke sath sath gesu sanwar gae kabhi gesu bikhar gae kya kya karam hain gardish-e-lail-o-nahaar ke dekha jo hum ne ghaur se aaine dar gae hai karwan hi baqi na ab gard-e-karwan mujh se bichhad ke sare mere ham-safar gae khamosh hun nawishta-e-taqdir jaan kar main ne hasin khwab jo dekhe bikhar gae