fikr-e-baalida ki nudrat se nikharte hain KHayal

fikr-e-baalida ki nudrat se nikharte hain khayal
aur agar zehn-e-rasa ho to sanwarte hain khayal

aql kab karti hai farsuda khayalon ko qubul
fikr bedar agar ho to ubharte hain khayal

jiddat-e-fikr se afkar ko milti hai numu
husn-e-kirdar ki rahon se guzarte hain khayal

zehn khaliq hai khayalat ka taslim magar
zehn par surat-e-ilham utarte hain khayal

sohbat iqbaal ki afkar ko deti hai jila
un ki sohbat mein bahut khub nikharte hain khayal

muntashir zehn agar ho to natija malum
surat-e-kah hawaon mein bikharte hain khayal

zehn ko fikr ki tahrik jo mil jae 'qamar'
mahsharistan ki surat mein guzarte hain khayal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close