mil ke rahta hun sada chaaron ke sath bewafai kya karun yaron ke sath kaun mohsin hai pata chal jaega mil ke baithoge jo tum yaron ke sath qatl sahil par hua shayad koi bah raha hai khun bhi dhaaron ke sath aabru ki pasbani shart hai hai gulon ki zindagi kharon ke sath dagh-e-dil dagh-e-jigar raushan hue hain farozan chand aur taron ke sath un se ummid-e-wafa 'fani' na kar kaisi hamdardi jafa-karon ke sath