fikr-e-ijad mein hun khol naya dar koi

fikr-e-ijad mein hun khol naya dar koi
kunj-e-gul bhej meri shakh-e-hunar par koi

rang kuchh aur nichodenge lahu se apne
phir tarashenge hum ek aur naya paikar koi

bhej kuchh taza kumak mere musafir ke liye
phir utarta hai mere dasht mein lashkar koi

aastinon mein hawaon ne chhupaya hua hai
hum ne dekha hai chamakta hua khanjar koi

kya hua ab ki safar mein ye mujhe yaad nahin
mujh se roya tha bahut der lipat kar koi

zakhm aankhon se tapakta hai lahu ki surat
yun chalata hai mere sine mein nashtar koi

khud taaqub mein meri ghat lagae kab se
chhup ke baitha hai mere jism ke andar koi

ek sahil ka tamashai hai bas mera wajud
meri mitti mein hai poshida samundar koi

apni fikron se lahu karte hain lafzon mein kashid
'shahid' aise nahin hota hai sukhnawar koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close