ghar ki jab yaad sada de to palat kar aa jaen kash hum apni hi khwahish ko mayassar aa jaen hai karamat mere dil ki tere nawak mein nahin war ho ek magar zakhm bahattar aa jaen guftugu aaj to do tok karega suraj zill-e-subhani shabistan se bahar aa jaen shab ko yalghaar-e-tafakkur se jo bach niklun main subh-dam taza khayalat ke lashkar aa jaen itni saffak samaat bhi ghazab hai ki jahan baat puri bhi na ho hathon mein patthar aa jaen