fikr-e-manzil hai na nam-e-rahnuma lete hain hum apna zauq-e-rah-rawi khud aazma lete hain hum kasrat-e-gham mein bhi akasr muskura lete hain hum zulmat-e-hasti mein yun shamen jala lete hain hum kuchh na puchho himmaton se kaam kya lete hain hum gham ko baada dil ko paimana bana lete hain hum muntashir hone ko aati hai jo bazm-e-arzu hauslon ki phir nai mahfil saja lete hain hum qafila aa kar sar-e-manzil bhi ho jata hai gum rahzan ko jab kabhi rahbar bana lete hain hum zulm-e-dauran ko ata karna hai taza hausla tir jo aata hai sine se laga lete hain hum kyun mizaj-e-husn mein paida karen ek barhami apne dil ko apna afsana suna lete hain hum is qadar charke lage hain dahr mein ai ham-nashin khar kya phulon se bhi daman bacha lete hain hum multafit hota nahin jab saqi-e-dauran 'hasan' mai-kade mein badh ke khud saghar utha lete hain hum