ajib haal hai sahra-nashin hain ghar wale gharon mein baith gae hain idhar-udhar wale nawah-e-jism nahin garche regzar se kam yahan bhi khitte kai hain hare shajar wale agarche shor bahut hai dar-e-dua pe magar zabanen band kiye baithe hain asar wale hai rah-e-jaan yunhi sunsan ek muddat se na gard udi na dikhai diye safar wale baghair aankh ke chehron ka ab chalan hai yahan wo din gae ki hua karte the nazar wale abhi main shahr ko sahra banae deta hun ki mere hath bhi kuchh kam nahin hunar wale simat ke rah gae ab chand saaton mein 'hasan' yahi the kaam kisi waqt umr-bhar wale