fikr-e-sud-o-ziyan mein rahna hai bas yahi is jahan mein rahna hai ek kashakash si jaan mein rahna hai jab talak dastan mein rahna hai har taraf aasman phaila hai sab ko ek saeban mein rahna hai kal kyun girta hai aaj gir jae kaun sa is makan mein rahta hai kitni aasaniyan mayassar hain kitna mushkil jahan mein rahna hai kamra-e-imtihan hai duniya har ghadi imtihan mein rahna hai phir lagai sabil aankhon ne phir se aab-e-rawan mein rahna hai aab o gil aatish o hawa hain hum aur isi khandan mein rahna hai zindagi puchhte ho kya mujh se qahqahon ka fughan mein rahna hai fikr har kas ba-qadar-e-himmat-e-ust hum ko hindostan mein rahna hai sansen maghmum ho gain sun kar 'khalid'-e-khasta-jaan mein rahna hai