sitare chahte hain mahtab mangte hain mere dariche nai aab-o-tab mangte hain wo khush-khiram jab is rah se guzarta hai to sang-o-khisht bhi izn-e-khitab mangte hain koi hawa se ye kah de zara thahar jae ki raqs karne ki mohlat habab mangte hain ajib hai ye tamasha ki mere ahd ke log sawal karne se pahle jawab mangte hain talab karen to ye aankhen bhi in ko de dun main magar ye log in aankhon ke khwab mangte hain ye ehtisab ajab hai ki mohtasib hi nahin rikab thamne wale hisab mangte hain sutun-o-baam ki diwar-o-dar ki shart nahin bas ek ghar tere khana-kharab mangte hain