fikr-e-uqba hai mujhe khwahish-e-duniya hai mujhe aish ki dhun hai mujhe maut ka dhadka hai mujhe maut kahte hain jise zabt ki takmil na ho ki tanaffus pe bhi fariyaad ka dhoka hai mujhe husn wo chahiye jo ishq ka aaina bane yani apne liye apni hi tamanna hai mujhe tum na ghabrao mujhe tum se koi kaam nahin apni khwahish hai mujhe apni tamanna hai mujhe ye to malum nahin un ka irada kya hai han nigah-e-ghalat-andaz se dekha hai mujhe hijr ki shab udhar allah idhar wo but hai dekhna ye hai ki ab kaun bulata hai mujhe ek but ek hi but ka hun pujari 'akhtar' apne is shirk pe tauhid ka dawa hai mujhe