ghurur-e-zabt se aah-o-fughan tak baat aa pahunchi hawas ne kya kiya dil se zaban tak baat aa pahunchi sukun-e-dil se naqus o azan tak baat aa pahunchi khuda walon ki himmat se kahan tak baat aa pahunchi khilafat se jabin o aastan tak baat aa pahunchi khuda aur ibn-e-adam mein yahan tak baat aa pahunchi mili thi aankh aur aah-o-fughan tak baat aa pahunchi zara si baat thi lekin yahan tak baat aa pahunchi hamari dastan mein zikr-e-qais-o-kohkan aaya wahan se phir hamari dastan tak baat aa pahunchi