fikr-e-zar mein bilakta hua aadmi ab kahan rah gaya kaam ka aadmi zindagi bhi haqiqat mein ek jurm hai umr bhar katta hai saza aadmi kaun apnae mazi ki parchhaiyan kaun paida kare ab naya aadmi khub-surat si is par kahani likho ganw ki goriyan shahr ka aadmi the bahut log mahfil mein baithe hue un mein mushkil se ek mil gaya aadmi ye kamal-e-khudi hi kaha jaega khud hi duniya banane laga aadmi tum bhi 'sahir' zara is se bach kar raho ganw se hai alag shahr ka aadmi