fikr ka sabza mila jazbaat ki kai mili

fikr ka sabza mila jazbaat ki kai mili
zehn ke talab par kya naqsh-arai mili

mutmain hota kahan mera dil-e-jalwat-pasand
darmiyan-e-shahr bhi jangal si tanhai mili

dekhne mein dur se wo kis qadar sada laga
pas se dekha to us mein kitni gahrai mili

har daricha mere istiqbaal ko wa ho gaya
ajnabi galiyon mein bhi mujh ko shanasai mili

jab bhi habs-e-shahr se nikle to har ek rah par
mehrban ahbab ki manind purwai mili

is se badh kar aur kya hota safar ka ikhtitam
dubte suraj se har manzar ko ranai mili

rabton ki wusaten harjai-pan samjhi gain
hum ko ai 'betab' shohrat se bhi ruswai mili


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close