tere tasawwuraat se bachna hai ab muhaal bhi

tere tasawwuraat se bachna hai ab muhaal bhi
kuchh to hai teri fikr bhi kuchh hai tera khayal bhi

ai dost aa ke dekh le ishq ka ye kamal bhi
tu hi mera jawab hai tu hi mera sawal bhi

aai tumhaari yaad jab dhal gai lamhon mein sadi
aisa laga ki ruk gai gardish-e-mah-o-sal bhi

duri ke bawajud bhi takra rahi hai sans ab
aisi judai par karun qurban sad-visal bhi

koi zamane mein nahin jis pe ho tera aks bhi
kis se misal dun teri milti nahin misal bhi

naz kabhi na kijiye apne uruj-e-haal par
baad-e-kamal ai 'ziya' aata hai ek zawal bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close