fikr kije to zamin-o-asman ki kijiye baat apni hi nahin sare jahan ki kijiye tazkira sahra-nashinon ka bhi rakhiye samne baat jab bhi sakinan-e-gulistan ki kijiye zindagi ko zindagi ki shakl deni ho to phir baat hamdam imtihan dar imtihan ki kijiye dil mein ghar karna hai duniya ke to sab se peshtar kuchh durusti apne akhlaq-o-zaban ki kijiye kuchh to us ki jaan-fishani ka use dijiye sila yaad gahe gahe nazm-e-baghban ki kijiye jis zaban ne aap ko bakhsha hai andaz-e-kalam parwarish apne lahu se us zaban ki kijiye