ek aisi anokhi zaban jaanta hun ki har zakhm ki dastan jaanta hun nahin koi shai darmiyan jaanta hun faqat main zamin aasman jaanta hun yun hi baat hoti nahin hai ghazal se ishaaron ki tarz-e-bayan jaanta hun bahaaron ka zamin jo sab ke liye hai usi ko main daur-e-khizan jaanta hun karenge na phulon kei barish kabhi wo ki jin ko main tir-o-kaman jaanta hun mera azm sare zamane se aala kise hai ye wahm-o-guman jaanta hun