fikr ko khwab khayalat ko fani likhna zindagi aankh churae to kahani likhna shakh pe phul khile hon bhi to kuchh farq nahin tum bahaaron ko bhi ab daur-e-khizani likhna yun bhi ho jaegi tasnif mukammal yaro kuchh riwayat se kuchh apni zabani likhna chand likhna to nigahon mein ho chehra us ka chandni barse to maujon ki rawani likhna khat ba-har-haal rahe bais-e-taskin 'asad' koi mausam ho yahan sham suhani likhna