ab masafat mein to aaram nahin aa sakta ye sitara bhi mere kaam nahin aa sakta ye meri saltanat-e-khwab hai aabaad raho is ke andar koi bahram nahin aa sakta jaane khilte hue phulon ko khabar hai ki nahin bagh mein koi siyah-fam nahin aa sakta har hawa-khwah ye kahta tha ki mahfuz hun main bujhne walon mein mera nam nahin aa sakta main jinhen yaad hun ab tak yahi kahte honge shahzada kabhi nakaam nahin aa sakta dar hi lagta hai ki raste mein na rah jaun kahin kahlawa dijiye mein sham nahin aa sakta