fikr mein dube the sab aur ba-hunar koi na tha zindagi ki shakh par pukhta samar koi na tha ga rahe the apni apni dhun mein sab ghazlen magar 'mir'-o-'ghaalib' 'dagh'-o-'hasrat' ya 'jigar' koi na tha raat-bhar zulmat mein lipti bastiyan kahti rahin chand tare kahkashan jugnu qamar koi na tha dekhne mein yun ba-zahir sab hamare sath the jab saron par dhup aai ham-safar koi na tha khun ke rishton ki garmi sard thi chaaron taraf sab tasalli de rahe the chaaragar koi na tha rind-o-zahid shaikh-o-sufi sab ke sab tishna hi the kis ko dete mai-kada jab mo'atabar koi na tha phir ye socha likh hi bhejun haal-e-dil us ko magar ud chuke the sab kabutar nama-bar koi na tha zindagi-bhar bhigti palken thin us ki muntazir hum se badh kar khud se 'zakir' be-khabar koi na tha