wo ho kaisa hi dubla tar bistar ho nahin sakta ghalat hai aadmi is tarah laghar ho nahin sakta kabhi aansu ka qatra misl-e-gauhar ho nahin sakta ghalat hai abr-e-naisan dida-e-tar ho nahin sakta miyan majnun hon chahe kohkan ho donon khabti the kisi ka kuchh bhi un se khak patthar ho nahin sakta kamar jis ke na ho wo bar se kyun kar chalega phir khilaf-e-aql hai ye is tarah par ho nahin sakta kaho phir ye kamar moti hai sar chhota hai dilbar ka nahin to phir qad-e-jaanan sanobar ho nahin sakta wo khatt-e-shauq ke jitne pulande chahe le jae mulazim dak-khane mein kabutar ho nahin sakta 'zarif' aaina de kar darwin-sahab ko samjha do na ho jab tak sharir insan bandar ho nahin sakta