firaq-e-yar mein hun is qadar udas udas baghair bachchon ke jaise ho ghar udas udas shikari aae hain yani parind jaenge ye baat sun ke hua hai shajar udas udas na jaane kya mere zakhmon mein dekh baitha hai ki ho gaya hai mera chaaragar udas udas ye wo gali hai jahan shadmani rahti hai so mere dost yahan se guzar udas udas kabhi kabhaar to khud zar zar roti hain udasiyan bhi mujhe dekh kar udas udas ye kya hua ki dubo kar mujhe bade din se khafa khafa si nadi hai bhanwar udas udas natija tark-e-talluq ka ek sa kab hai udhar wo khush hai bahut main idhar udas udas