apni khwahish mein jo bas gae hain wo diwar-o-dar chhod den dhup aankhon mein chubhne lagi hai to kya hum safar chhod den dast-bardar ho jaen fariyaad se aur baghawat karen kya sawali tere qasr-e-insaf! zanjir-e-dar chhod den jab luab-e-dahan apna tiryaq hai dast o bazu bhi hain sanp galiyon mein lahra rahe hain to kya hum nagar chhod den shahryaron se dar jaen hum haq-parasti se tauba karen apne andar bhi ek aadmi hai use hum kidhar chhod den hum ne dekha hai dariyaon ka rukh kunwar shahr ki samt hai shahr wale agar be-khabar hain to kya be-khabar chhod den