firaq-e-yar mein khud ko tamam karte hue main ro raha hun khushi gham ke nam karte hue yun teri yaad hai aati ki jaise galiyon se baraat guzre koi dhum-dham karte hue wahi to hota hai har pal mere takhayyul mein main sher kahta hun us se kalam karte hue main qais hun so mujhe dasht mein hi rahne do nahin ji paunga ye tam-jham karte hue ai ishq man liya thodi apni ghalati thi zara sa soch to jina haram karte hue