teri gali mein jo mila us se pata puchha tera

teri gali mein jo mila us se pata puchha tera
sab tujh se the na-ashna par sab mein tha shohra tera

koi na tha jab aashna hum ne kiya charcha tera
ai har kisi ke aashna ab hum se kya rishta tera

tu jab hua pir-e-mughan the sab hi tere madh-khwan
rah kar khamosh ai khud-nigar hum ne bharam rakkha tera

un se talluq qata kar jin se hua tu mo'atabar
rakh na-shanason par nazar rah jaega parda tera

auron ke naqsh-e-pa pe hum kis tarah se rakhte qadam
lakhon nuqush-e-pa se tha chhalka hua jada tera

tu kar unhi par sakhtiyan raushan hai jin se teri jaan
un par hi tu rah mehrban karte hain jo sauda tera

barson se hain dida-waran teri gali mein sargiran
sab kuchh dhara rah jaega chal de jo banjara tera

hai ye hamara hi lahu ab tak raha tu surkh-ru
hum den na jis din khun-baha bujh jaega chehra tera

ai shahr-e-mardum-na-shanas ai bazm-e-fan-na-ashna
sannate bolenge yahan chhoden jo hum kucha tera

tu munfarid aalam se hai ye sab hamare dam se hai
mulk-e-sukhan mein hum se hi gunja hua naghma tera

ho jab tera qissa raqam aur rok len ek hum qalam
kis zikr kis unwan se phir nam aaega tera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close