firaq-e-yar tera imtidad thik nahin naya hai zakhm abhi mustazad thik nahin chale bhi aao ki girya kunan hai tu hamdam tujhe khabar hai tera injimad thik nahin main muntazir hun ki jaldi palat ke aa jaana tumhaari chaal mein ab iqtisad thik nahin kyun ghaur-o-khauz to jiddat jehd ki gunjaish usul-e-ishq mein ho ijtihad thik nahin chadha tha baam pe didar yar ki khatir main niche aaun agar na-murad thik nahin