bande zamin aur aasman sarma ki shab kahaniyan sachchi hain ye rifaqaten baqi hain sab kahaniyan kheme ukhad ujad gae aisi hawa-e-shab chali kirnen zamin pe likh gain kaisi ajab kahaniyan wusat-e-dasht ke makin wadi mein kuch kar gae shakhon pe barf likh gai naghma-ba-lab kahaniyan chand ki khak aa gai pairon tale hayat ke aisi kathin riwayaten aisi kadhab kahaniyan jauhar-e-haq nahin mila mujh ko kisi kitab mein mitti se sun raha hun main aali-nasab kahaniyan wusat-e-koh-o-dasht ho shahr o nagar ka gasht ho mera safar hikayaten mera adab kahaniyan shahron ko kya khabar ki main kaun hun kis faza mein hun likhni hain ek din mujhe sabr-talab kahaniyan