firaq-mausam ke aasman mein ujad tare jude hue hain nadi ke daman mein hansrajon ke sard lashe gire hue hain chamakte mausam ka rang phaila tha jis se aankhen dhanak hui thin aur ab basarat ki narm mitti mein thur kante uge hue hain tere dariche ke khwab dekhe the raqs karte hue dinon mein ye din to dekho jo aaj nikla hai dast-o-pa sab kate hue hain khumar kaisa tha ham-rahi ka shumar ghadiyon ka bhul baithe tere nagar ke faqir ab tak us ek shab mein ruke hue hain use adawat thi us saba se jo mere chehre ko chhu guzarti wo ab nahin hai to apne aangan mein lu ke dere lage hue hain rahoge thame yunhi ye chaukhat agarche ek bhi nazar na dalun hansao mat ghar ko laut jao ye rag mere sune hue hain kahan ruke the wo kya shajar the ki jin ke sae mein hum khade the wo dhup kaisi thi jis ki barish se mere sahra hare hue hain