jo apne ghar ko kaba mante hain pas-e-diwar phir kyun jhankte hain nahin tere junun par shak nahin hai teri aadat magar pahchante hain ye aazurda-jabin mazi ke basi nae zakhmon pe yaaden bandhte hain tere ahl-e-yaqin sajdon mein jhuk kar mere kafir tera gham mangte hain rida-e-shab to abr-e-tar se bhigi chalo ek dhyan sar par tante hain sitare zabt ke moti hazar ke qaba-e-arzu par tankte hain teri khoti hansi par rone wale teri aankhon ke mausam jaante hain