firaq mein dam ulajh raha hai khayal-e-gesu mein jaankani hai tanab-e-jallad ki tarah se rag-e-gulu aaj-kal tani hai nahin hai parwa-e-mal-o-daulat safa-e-baatin se dil ghani hai gada hain hajat-rawa-e-sultan ye kimiya-e-farotani hai jigar mein hain dagh-e-mahr-o-ulfat shigaf-e-pahlu hai jeb-e-mashriq shab-e-lahad hai ki subh-e-mahshar ye kis qayamat ki raushni hai fazael-e-ittihad-e-millat jahan mein wajh-e-mukhalifat hain muaf hi rakhiye shaikh sahab ye rahbari hai ki rahzani hai gharaz na rakkhe mai-e-jahan se to hum bhi qail hon tere waiz kamal kya jab ummid-e-farda hi illat-e-pak-damani hai hamein na ras aaya dil lagana ghazab hua phir gaya zamana koi to kahta hai qaid kar do koi ye kahta hai kushtani hai raqib ko pas gar bithaya to mujh se hargiz na zabt hoga mita hi dun ek din ye jhagda bas ab to dil mein yahi thani hai koi kisi se na dil lagae na sar pe koh-e-alam uthae nahin bharosa khuda bachae ki ishq mein jaan par bani hai khapi hai dil mein hansi tumhaari firaq mein kaundti hai bijli rahen na kyun ashk-e-surkh jari jigar mein almas ki kani hai kabhi to aa mere rashk-e-isa hui hai muzmin tap-e-judai nahin shifa ki ummid baqi numud chehre se murdani hai hua ye laghar asir tera ki sab ko hai naqsh-e-pa ka dhoka gale mein jo tauq tha pahnaya wo ab use hisn-e-ahani hai na tegh-e-qatil ka kyun ho shohra kiya hai jo rang-e-jism aisa diye jo tanke to hai ye dhoka badan ka malbus sozani hai zamin par girte girte hum ko suna gaya kasa-e-sifalin hua jahan daur-e-umr-e-akhir ye saz-e-hasti shikastni hai jigar mein barson khatak rahegi phunkenge pahlu chamak rahegi khayal-e-mizhgan-e-yar-e-jaani sinan-e-dil-doz ki ani hai azal se rindon ko mai ki aadat hai aur waiz ki sarzanish ki takhaluf-e-waza se hai jhagda na dosti hai na dushmani hai 'habib' piri mein hain rangili wo sabza rangon hi par hain marte hue hain do din pata nahin hai kisi se gahri kahin chhani hai