jo shakhs rah banata raha darakhton mein usi ko chhod gaya rasta darakhton mein uchhal pada tha jab ek bar jhil ka pani badan chhupati phiri thi hawa darakhton mein nikal to aai kiran aarzu ke jangal se ulajh ke rah gai lekin qaba darakhton mein zamane bhar ki tamazat se tha sukun lekin ajib khauf ka ehsas tha darakhton mein kahin charagh kahin aaina kahin khushbu rawan hai koi ajab qafila darakhton mein