fitna-e-rozgar ki baaten

fitna-e-rozgar ki baaten
aisi hain jaise yar ki baaten

hijr mein wasl-e-yar ki baaten
hain khizan mein bahaar ki baaten

lala-o-gul kai zikr se behtar
ek jaan-e-bahaar ki baaten

chhed ke sath nok jhok bhi hai
gul se hoti hain khar ki baaten

sab samajhte hain main kahun na kahun
is dil-e-be-qarar ki baaten

chhed deta hun dil-lagi ke liye
wasl mein intizar ki baaten

jo na tum ruthte to kar lete
aur do chaar pyar ki baaten

nang hain azm-e-mustaqil ke liye
dahr-na-paedar ki baaten

dil-nashin hain basant mein 'kaifi'
ye sharab-o-khumar ki baaten


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close