har aarzu mein rang hai bagh-o-bahaar ka

har aarzu mein rang hai bagh-o-bahaar ka
kanta bhi ek phul hai us khar-zar ka

kuchh is tarah se aao ki dil ko khabar na ho
kuchh wasl mein bhi lutf rahe intizar ka

bu-e-wafa na dhundhiye lala ke dagh mein
kya ye bhi koi dil hai kisi dil-figar ka

laghzish hui to panw pe saqi ke gir pade
behoshiyon se kaam liya hoshiyar ka

sar-chashma-e-sarab fareb-e-majaz hai
kya e'tibar zindagi-e-mustaar ka

irfan ki raushni se kudurat chali gai
aaina ban gaya mere musht-e-ghubar ka

daur-e-shabab ki wo tarangen kahan gain
khamyaza dekhta hai ye 'kaifi' khumar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close