fitne uthenge to paigham-e-tabahi denge aur tarik fazaon ko siyahi denge main ne ye baat kabhi khwab mein sochi bhi na thi mere apne hi mukhalif ki gawahi denge kaun si rah tere dar pe unhen le jae ye pata rah-e-tamanna ko wo rahi denge aap chahen to hamein bhul bhi jaen lekin haal-e-dil hum to kisi roz suna hi denge aur nikhregi tabhi dar-o-rasan ki azmat sar ko haq baat pe jab haq ke sipahi denge sirf apnon ki shararat hai tabahi mein yahan aap kis kis ko ye ilzam-e-tabahi denge be-niyazi ka ye aalam hai to ek din ‘chashma’ mere dil ko wo tadap surat-e-mahi denge