fitnon ka karobar hai aao dua karen har-su ek intishaar hai aao dua karen tahzib-e-rakh-rakhao aur aadab-e-zindagi naslon pe jaise bar hai aao dua karen mauj-e-nasim baad-e-saba ke liye bhi ab har phul jaise khar hai aao dua karen ek haq-parast aam nigahon mein in dinon jaise gunahgar hai aao dua karen har har qadam pe galiyon mein aur shahrah par tahzib sharmsar hai aao dua karen aksar khatib-e-shahr ka irshad-e-aliya lafzon ka ek hisar hai aao dua karen afsos sirf luqma-e-tar ki hawas mein aaj insan zalil-o-khwar hai aao dua karen mal-o-manal jah-o-hasham ka bas ek junun aasab par sawar hai aao dua karen apna zamir bechne wala hi aaj-kal logon mein zi-waqar hai aao dua karen makr-o-fareb aur riya-kariyon ka shaghl ab wajh-e-iftikhar hai aao dua karen dharti pe rah ke karte hain baat aasman ki yun zist se farar hai aao dua karen allah re huquq-o-faraez ka har amal ek dusre pe bar hai aao dua karen 'fakhir' ana ki pyas bujhane ke waste har shakhs be-qarar hai aao dua karen