fitrat-e-husn hai sargarm-e-jafa ho jaana

fitrat-e-husn hai sargarm-e-jafa ho jaana
shewa-e-ishq hai raazi-ba-raza ho jaana

wo lab-e-baam tera jalwa-numa ho jaana
wo kisi ka teri surat pe fida ho jaana

uth ke pahlu se mere hae wo jaana un ka
dard ka aur mere dil mein siwa ho jaana

is ko kahte hain mohabbat ki karishma-sazi
lab par aate hi shikayat ka dua ho jaana

aaina dekhne ko shauq se dekho lekin
apni surat pe kahin khud na fida ho jaana

is se badh kar koi duniya mein alam kya hoga
kisi mashuq se aashiq ka juda ho jaana

pahle aagah kiye dete hain tujh ko qasid
dekhna tu bhi na us but pe fida ho jaana

is chalan par hi mohabbat ka hai dawa tum ko
baaton baaton mein meri jaan khafa ho jaana

hum bhi dekhen to asar un pe na hoga kyun-kar
shart hai nala-e-furqat ka rasa ho jaana

dil kisi ke kham-e-gesu mein phansa baitha hun
is ko kahte hain giraftar-e-bala ho jaana

chain se the na mulaqat hui thi jab tak
ho gaya qahr tera mil ke juda ho jaana

wasl ka aap ne iqrar kiya hai lekin
nazar aata nahin wade ka wafa ho jaana

kis ko ye hosh ki ahwal sunae apna
dekhte hi tujhe ausan khata ho jaana

aise marne ko hi kahte hain hayat-e-jawed
khush-nasibi hai mohabbat mein fana ho jaana

yaad ab tak hai jawani ka zamana 'hajir'
pyar karna mera aur un ka khafa ho jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close