ghair un ko lagae sine se maut behtar hai aise jine se hosh mein la rahe hain wo mujh ko gul-e-rukhsar ke pasine se ghair ki baat par na jao tum kyon ulajhte ho us kamine se kitne andaz wo dikhate hain jab lagata hun un ko sine se bazm mein kis ki aamad aamad hai chizen rakkhi hain sab qarine se garmi-e-husn dukht-e-raz dekho chhalki padti hai aabgine se hum hi the jo nibha chuke barson ghair aajiz hai do mahine se us jagah aur kaun baitha hai kyon hai inkar tum ko pine se ruthe kab tak rahoge 'hajir' se aao ab lag bhi jao sine se