fitrat-e-ishq gunahgar hui jati hai fikr-e-duniya bhi gham-e-yar hui jati hai kitna nazuk hai khuda rakkhe mohabbat ka mizaj ab tasalli bhi dil-azar hui jati hai jab se chhini hai teri yaad ne nind aaankhon ki dil ki jo his hai wo bedar hui jati hai aah pabandi-e-adab-e-mohabbat tauba thandi har sans gunah-gar hui jati hai chhu liya arsh ko mansur ki angdai ne saf-goi rasan-o-dar hui jati hai har tajalli hai tere samne sharminda si chandni saya-e-diwar hui jati hai shukriya shokhi-e-husn-e-pas-e-parda ka 'siraj' aankh be-dekhe gunah-gar hui jati hai